Tuesday, March 15, 2016

Vafa is kadar voh adaa kar chale

paish hai 122 122 122 12 (beHer mutaqaarib mucammin meHZoofpar) se likhi hui ek ghazal

Vafa is kadar voh adaa kar chale 
Merii zindagi ko kazaa kar chale 

Na Qeemat lagayai na sauda kiya 
Mila daam toh faisala kar chale 


Mile dost chaahe ya dushman mile 
lagaa kar gale ham duaa kar chale 


Thi shiddat vafaa men meri is kadar 
Sanam bevafa ko khuda kar chale 

Liya apne dil se hi paadaaSH* khud 
Ye rashm-e-mahobbat nibha kar chale 

diye zindagii ne hame zakhm jab 
tabassum ko tere shifa kar chale 

Huaa gham se yun aasana is kadar 
Khushii kii nazar se bacha kar chale 

-Manu- manish acharya

No comments: