Wednesday, December 26, 2007

Ghazal ke kuuch tute taraane chale aate hai

shama jalti hai aur parwaane chale aate hai
sar ke bal Ishq ke diwaane chale aate hai

mere jazbon main kuchh jaan baaqi hai abhi
Ghazal ke kuuchh tute taraane chale aate hai

Maine dard ko dil ke gharondo mai pala hai
Ashk isi bahaane vafa nibhane chale aate hai

dost saare voh gam mai hamse ajnabi nikle
Jasna mai sabhi jo gale lagane chale aate hai


Ab to aa jaao meri jaan janaza uthne ko hai
Log to gairo ko bhi dafnaane chale aate hai


fitrat-e-yaar hai sitam kar ke muskuraana
Ham muskura ke zakhm khane chale aate hai


tabbasum se tere jo khilti rehti hai ham voh
mausam-e-bahar ko gale lagane chale aate hai






Tera har laf^z-e-ghazal mujh ko duaa lagta hai

Tera har laf^z-e-ghazal mujh ko duaa lagta hai

Tere sine me.n kahii.n mujh ko khuda lagta hai


Shaam-e-tanhaayii aur teri yaado.n ka mausam

Bood* bhi mujh se mera mujh ko juda lagta hai


Kisi dard ki shaakh se jab panapti hai teri ghazal

Padh ke is ko gham tera mujh ko mera lagta hai


Aaeene me.n roz dhhondhe tujh ko nazar merii

Tasvuur tera tere aane ki mujh ko hawa lagta hai


Choone se tere sab zakhm mere gul ban jaate hai

Pyaar tera mere marz ki mujh ko dawa lagta hai


palko men tu samayi hai mera aks teri parchayi hai

Har chehre men kahi chehra mujh ko tera lagta hai



bood*=wajood