Tuesday, March 15, 2016

jab se dekhaa tu_mHe toh khuda kar chale

Ek ghazal behr 212/212/212/12 kii neev par

जब से देखा तुम्हे तो खुदा कर चले 
ग़म तुम्हे छू न पाये दुआ कर चले 

जिस्म से रूह तक तुम ही तुम हो गये 
इश्क़ में खुद को हम क्या से क्या कर चले 

 बेखुदी में कहीं उठ गये जो  कदम 
यूँ हुआ तुम पे खुद को फ़ना कर चले 

बात होती रही  चाँद की जब कभी 
नाम ले कर तेरा  बस वफा कर  चले 

जब हुआ सामना  तेरे हुस्न से 
गुफ्तगू का सभी सिलसिला कर चले 

क्यों न हासिल हुआ नूर तुमसा हमें 
चाँद तारे सभी यह गिला  कर चले 

फिर यही तय हुआ महजबीनो में कुछ  
सब तेरे हुस्न को आईना कर चले 

है ग़ज़ब नूर  तू चांदनी जल गई 
हम तुम्हे चाहने की खता कर चले 

कोई तुमसा  नहीं  इस जहाँ मैं कहीं 
हम दिलों जान तुम्ही पे फ़िदा कर चले 

ज़िन्दगी जब मेरी चोट खाती रही 
तब्बसुम को तेरे हम शिफा कर चले 

हम तरसते रहे बस मिलन के लिए 

फ़ासिले ज़िन्दगी को कज़ा कर चले 

jab se dekhaa tu_mHe toh khuda kar chale 
gham tumHe chhoo na paaye du_aa kar chale 

Jism se rooh tak tum hee tum ho gaye 
Ish^q men khud ko ham kyaa se kyaa kar chale

Be_khudii me.n kahii.n uth gaye jo kadam 
Yu.n hu_aa tum pe khud ko fanaa kar chale 

Baat hotii rahi chaa.nd kii jab kabhi 
Naam le kar tera bas vafaa kar chale 

Jab hu_aa saamana jo tere hus^n se 
Guf^tagoo ka sabhi silsila kar chale 

Kyu.n na haasil hu_aa noor tum sa hame 
Chaa.nd taare sabhi yeh gilaa kar chale 

pHir yahi tay hu_a mehjabeeno me.n kuchh 
Sab tere hus^n ko aaiinaa kar chale 

Hai gHazab noor tuu chaa.ndani jal gayi 
Ham tumHe chaahne ki khata kar chale 

Koi tum sa nahii is jahaa.n me.n kahii.n 
ham Dil-o-jaa.n tumhii par fida kar chale 

Zindagi jab meri chout khaati rahi 
Tabbasum ko tere ham sifaa kar chale 

Ham taraste rahe bas Milan ke liye 
Faasile zindagi ko kaza kar chale


"manu" -Manish acharya

Vafa is kadar voh adaa kar chale

paish hai 122 122 122 12 (beHer mutaqaarib mucammin meHZoofpar) se likhi hui ek ghazal

Vafa is kadar voh adaa kar chale 
Merii zindagi ko kazaa kar chale 

Na Qeemat lagayai na sauda kiya 
Mila daam toh faisala kar chale 


Mile dost chaahe ya dushman mile 
lagaa kar gale ham duaa kar chale 


Thi shiddat vafaa men meri is kadar 
Sanam bevafa ko khuda kar chale 

Liya apne dil se hi paadaaSH* khud 
Ye rashm-e-mahobbat nibha kar chale 

diye zindagii ne hame zakhm jab 
tabassum ko tere shifa kar chale 

Huaa gham se yun aasana is kadar 
Khushii kii nazar se bacha kar chale 

-Manu- manish acharya

Monday, February 29, 2016

जिदंगी को तेरी याद

 जिदंगी को तेरी याद का हमने दरिया बना डाला
 इश्क़ में खुद को  देख ले तेरे हमने क्या क्या बना डाला

ओैर तेरे 


यूँ  तेरी याद मै डूब कर  ज़िन्दगी सारी बीता डाली 
 इश्क़ को ही तेरे जीने का हमने झरिया बना डाला





Sunday, February 28, 2016

Tere tasvvur ko in aankho ka gehna bana rakha hai

tere tasvvur ko in aa.nkho ka gehna bana rakha hai
hamney kitney barso se raato ko is se saja rakha hai




jab kabhi Zindagi meri chaut khaati rahii hamdam
hamney naam tabbassum ka tere siifaa rakha hai




hawaadiso ne jab kabhi dagmagaaye mere kadam
housalo ko hii tere maine jeene ki vajaaH rakha hai





kyaa huaa jo ham dono ke darmiyaaN hai faasila
maine dil ki dhadkano ko tum se juRaa rakha hai



sataaya ham ko bhii shaam-e-tanhaayi ne kitna
hamney yaado ko teri lamho men basa rakha hai





na aaye gham ke aansoo nigaaho men terii kabhi
naam har labz-e-ghazal ka maine duaa rakha hai



aaeene bhi ab to ham se nigaahen churaate hai
chahera tera jo chilman men chhupaa rakha hai




ab to terii hee bandagii hai baqee zindagi apni
hamne duaoN mai tumhe apna khuda rakha hai




jism se rooh talak bas tum hee tum samaaye ho
pyaar rag rag men tera hamne baha rakha hai




naaz to ab bhi hai tooTe dil ko vafaa par apni
naam usoolo ka hamne azm-e-vafa rakha hai

Saturday, December 5, 2015

मुझे ज़िन्दगी से कुछ भी गिला नहीं

मुझे ज़िन्दगी से कुछ भी  गिला नहीं 
सिवा अश्कों के कुछ भी मिला नहीं 

महोब्बत बेपनाह की थी  उसने मगर  
मिला वफाओका  कुछ भी सिला नहीं 

उसने दिल के गुलशन मै प्यार बोया था  
पर फूल जैसा कुछ भी खिला  नहीं 

उसे  इन्तज़ार था तेरे आने का इतना 
वोह  चौखट से  अब तक  हीला  नहीं 

मौत  आ  गयी  लेने वही  खड़े खड़े 
आँखों  का कोना  हुआ  गिला  नहीं 

तेरी महोबत की ही  वो खुमारी  थी 
आशिक किसी  को ऐसा मिला  नहीं 

---मनीष 

Monday, March 17, 2014

Zakhm bhar jaaye magar kyun dard yeh jata nahee




Zakhm bhar jaaye magar kyun dard yeh jata nahee
Vaqt ke kyun ghaanv marham koii bhar pata nahee



Husn chhal hai,ek bh’ram hai bas nazar ka,ishq men
Chaut khaane par bhi kyun sach yeh nazar aata nahi

Umrabhar maine bahaaye ashq ke dariyaa kaii
Yaad men jis kii, vo mere zakhm sehlaata nahi


"jab se dekhee hai fiZ^aa maiN ne tere rukhsaar kee
koee maosam meree beenaee ko ab bhaataa naheeN"


"dil peh ulfat kaa acar hai yaa nigaahooN kaa fareb?
aaiina bhi juz tere kuchh aur dikhlaata nahii

ranj hai is baat kaa jis par luTaaee Zindagee
meree yaadooN se woh apne dil ko behlaataa naheeN


Chal diye aangan se dil ke saaye teri yaad ke
Aalam-e-tanhaayi kaa ab lutf bhii aata nahi

Haar kar bhee jeet jaaooN hoon sikandar ishq kaa
i'shq ke maedaaN meN hamdam maat maiN khaataa naheeN"

maan kar jis ko khudaa karte rahe ham bandagii
wehsato.n ke vaqt hee kyun reh’m dil aata nahi

haadse ne jab kisee maasoom ki hai jaan li
kyun khuda dil ko tere maatam ye pighlaataa nahi

"maiN khaRaa hoN ban ke phir se HaoSle kee ek ChaTaaN
laakh aaeeN aaNdhiyaaN maiN in se ghabraataa naheeN


regards
manu

Meri aankkho me jo chhuupe savaal hain



Meri aankkho me jo chhuupe savaal hain
Mahobbat   ka  teri hee  woh malaal hain

Na tumhe chhoo ke gujre gham koii kabhi
Meri sab rehmato me yeh khayaal hai

Mukammal ho gayi kyun phir ghazal meri
Tune jo padh liyaa  us ka kamaal hai

Terii hii bewafaayi  ka sila hai yeh
Mujhe ashqon se jo itna vishaal hai

Ameerii sab gayi gurbat lo aa gayi
Judaa tum ho gaye tab se yeh haal hai

Tabassum hee tera hai apni jindagii
Tere bin yun to  jinaa bhi muhaal hai

Zamana jo puchhe gar kyaa ye ishq hai
Mahobbat hee hamaari ek mishaal hai